Pages

Wednesday, October 17, 2012

baat niklegi to phir door talak jayegi

log bevajha udasi ka sabab puchhenge

ye bhi puchhhenge tum itni pareshan kyun ho

ungaliyan utthengi sookhe hue baalon ki taraf

ik nazar dekhenge guzare hue salon ki taraf

choodiyon par bhi kai tanz kie jayenge

kaanpte hathon pe bhi fikare kase jayenge

log zalim hain har ik baat ka tana denge

baton-baton men mera zikr bhi leayenge

unki baton ka zara sa bhi asar mat lena

varna chehre ke tassur se samajh jayenge

chahe kuchh bhi ho savalat n karna

mere bare men koi baat n karna unse

baat niklegi to phir door talak jayegi......

No comments:

Post a Comment