Pages

Thursday, September 27, 2012


"Tera Husn Ho Mera Ishq Ho"

Tera Husn Ho
Mera Ishq Ho

To Phir Husn-o-Ishq Ki Baat Ho
Kabhi Main Milon, Kabhi Tu Milay
Kabhi Hum Milain, Mulaqaat Ho

Kabhi Tu Ho Chup, Kabhi Main Hoon Chup
Kabhi Dono Hum Chup Chaap Hoon

Kabhi Guftagu
Kabhi Tazkiray
Kabhi Zikar Ho
Ko'i Baat Ho

Kabhi Visaal Ho To Din Ko Ho
Kabhi Hijar Ho To Voh Raat Ho

Kabhi Main Tera
Kabhi Tu Meri

Kabhi Sath Main
Kabhi Sath Tu

Kabhi Ek Doojay Ka Sath Ho

Kabhi Sohbatain, Kabhi Ranjishain
Kabhi Dooriyan, Kabhi Qurbatain
Kabhi Ulfatain, Kabhi Nafratain
Kabhi Jeet Ho, Kabhi Maat Ho
Kabhi PhooL Ho Kabhi Dhool Ho
Kabhi Yaad Ho, Kabhi BhooL Ho

Rahain Muskuratay Pyaar Main
Khilain Phool Ban K Bahaar Main

Na Nashaib Ho
Na Faraaz Ho
Na Nasab Ho
Na He Zaat Ho

Rahain Muskuratay Pyaar Main
Khilain Phool Ban K Bahaar Main

Na Zameen Ko'i
Na Falak Ko'i
Na Vajood Ho
Na He Zaat Ho

Tera Husn Ho
Mera Ishq Ho
To Phir Husn-o-Ishq Ki Baat Ho..!!


Kahin ISHQ ki dekhi Ibtida,

Kahin ISHQ ki dekhi Inteha,

Kahin ISHQ Sooli pe Charh gya,

Kahin ISHQ ka Nezy pe Sir gya,

Kahin ISHQ sajdy mei gir gya,

Kahin ISHQ sajdy sy phir gya,

Kahin ISHQ dars-e-wafa bana,

Khain ISHQ husn-e-ada bana,

Kahin ISHQ ne Sanp se daswa dia,

Kahin ISHQ ne namaz ko Qaza kia,

Kahin ISHQ saife Khuda bana,

Kahin ISHQ shere-Khuda bana,

Kahin ISHQ Toor per deedar hy,

Kahin ISHQ zibah ko tayar hy,

Kahin ISHQ ne behka dia,

Kahin ISHQ ne Shah-e-Misr bana dia,

Kahin ISHQ ankhon ka Noor hy,

Kahin ISHQ Koh-e-Toor hy,

Kahin ISHQ 'tu hi tu' hua,

Kahin ISHQ 'ALLAH HOO' hua.


Ye kiska tasawur hai, ye kiska fasana hai,
Jo ashk hai aankhon mein tasbih ka dana hai...

Aankhon mein nami si hai chup-chup se wo baithe hain,
Nazuk si nigaahon mein naazuk sa fasana hai...

Ye ishq nahin aasaan itana to samajh lije,
Ek aag kaa dariyaa hai aur doob ke jana hai...!

Yaa wo the khafa ham se ya ham the khafa unse,
kal un ka zamana tha aaj apana zamana hai....


Woh Ishq Jo Hum Sey Rooth Gaya,
Ab Us ka Haal Batain Kia…?

Ik Aag Gham-e-Tanhai Ki
Jo Sare Badan mein Phel Gai,

Jab Jism Hi Sara jalta ho,
Phir Daman-e-Dil ko Bachain kia…!

Aansu, Aahain, Tanhai, Weerani Aur Gham-e-Musalsal..! 
Ek Zara Sa Ishq Hua Tha, Kia Kia Wirasat Mein De Gaya…

Mein Pee Kar Nahi Behakta, Usey Dekh Kar Behakta Hun,
Aey Aalam-e-Waqat bata Sharab Haraam Hai Yaa Woh….?


Hamari Be-Khudi Ka Haal Wo Pooche Ager,
To Kehna Hoosh Bas Itna Hai Ke Tum Ko Yaad Karte Hain…!


Ab Wahan Yaadon Ka Bikhra Hua Malba Hi To Hai,
Jis Jaga Ishq Ne Buniyad Makaan Rakhi Thi…!


‎"Chalta rehny do "GHALIB" silsila dil-dari ka,
Ishq "DEEN" nahi hai k jo mukammal ho jae.....!!!"

Akhir Bhula Hi Diya Unhoon ne hame "Ghalib"
Jinhain har saans me hame yad karne ka shoq tha..!


Bikharti Rait Pr Kis Naqsh Ko Aabad Rakhy Ga,

Wo Mujh Ko Yaad Rakhy Bhi To Kitna Yaad Rakhy Ga,

Usy Bunyad Rakhni Hay Abhi Dil Mein Muhabbat Ki,

Mgar Ye Sang Seeny Pr Wo Mere B’ad Rakhy Ga,

Palat Kr Bhi Nhi Dekhi Teri Ye Be’Rukhi Hum Ne,,

Bhula Den Gy Tujhy AisyK Tu Bhi Yaad Rakhy Ga……..!!!!


Dosto Se Kaha Karta Tha Woh Bhi, 
Kiya Yeh Bhi Jee Sakta Hai, Mere Bin, 

Mazak Ban Jaya Karta Tha Jo Doston Mein, 
Khud Ko Tanha Samajhta Tha Woh, Mere Bin, 

Issay Had-e-Dewangi Kahun Ya Pagalpan, 
Tasawar Mein Woh Batein Karta Tha, Mere Bin, 

Wo Mousmon Ke Badalne Se Darta Nahi Tha Lekin, 
Bahar Mein Murjhaya Karta Tha, Mere Bin, 

Ab Aas Toot Gayi Uskay Aanay Ki,,
Lagta Hai Jeena Seekh Chuka Hai, Mere Bin..!

Us ne to Thukra diya Haal-e-Ghareebi Dekh kar, 'Dost'
Hum Aj Bhi Anmool hain Mohabbat ke Bazaar mein.....!


Usy itna chaha k khud ko bhula dia hum ne,
Or wo ye keh k chal diye k itni si muhabbat toheen hai humari...


Ishara to Madad ka kar raha tha Doobne wala...
Mager Yaran-e-Sahil ne Salam-e-Alvida samjha...


Hum ne kab manga hai tum se apni wafaon ka sila??
Bas dard daite raha karo, Mohabbat bharti jaye gi...!


Aj mere choone per bhi aitraaz karta hai wo shaks..
Jo saari raat meri baanhon me sooya karta tha...!

Ab hum se zindagi ki haqeeqat na poocho...!
Bohat matlabi thy kuch log, jo tunha kar gaye....


Wo  Bewafa na tha, yunhi badnaam ho gaya..!
Hazaroon Chahne wale the kis kis se wafa karta...?

Chalo Ye Zindagi Ab Ham Tumhare Naam Karte Hain,
Suna Hai Be-Wafa Ki Be-Wafa Se Khoob Banti Hai…!
Jab Gharz hui tab Piyaar kia, Jab Waqt Mila 
tab Yaad kia, 

Ab aur Haqeeqat Kia Likhon, Is Door Ke 

Mukhlis Logon Ki..?
Ager Tum Dekho Aaina, 
To Apne Aap Se Nazrain Chura Lena, 
Ke Aksar Bewafa Logon Ko, 
Jab Wo Aaina Dekhain, 
Aakhen Chor Lagti Hain…!

Dost Kia Khoob Wafaon Ka Sila Dete Hain
Har Naye Mor Par Aik Zakham Naya Dete Hain

Tum Se To Khair Ghari Bhar Ki Mulaqat Rahi
Log Sadiyon Ki Rafaqat Ko Bhula Dete Hain

Kese Mumkin Hai Ke Dua Bhi Na Ho Aur Dil Bhi Jaly
Chot Parti Hai To Pathar Bhi Sada Dete Hain

Kon Hota Hai Museebat Mein Kisi Ka Aye Dost
Aag Lagti Hai To Patte Bhi Hawa Dete Hain

Jin Pe Hota Hai Bohat Dil Ko Bhroosa ‘Tabish’
Waqt Parne Pe Wohi Loog Dagha Dete Hain

Dil Paak nahi to Paak Ho Sakta Nahi Insaan,
Warna Ibles ko bhi aate The Wusoo Ke Fraiz Bohat...!

Shab e Meraj


Akhtar-e-shaam ki aati hai Falak se awaaz,
Sajda karti hai Sahar jis ko wo hai aaj ki raat,
Reh yak gaam hai himmat ke liye Aarsh-e-Bareen,
Keh rahi hai ye Musalman Meraj ki raat....

Ishq Fakeer-e-Haram, Ishq Ameer-e-Junood,
Ishq hai Ibn-e-Sabeel, Is ke Hazaroon Muqaam...


Parwaaz hai dono ki isi aik Fiza mein,
Kargis ka jahan aur hai, Shaheen ka jahah aur,

ilfaaz-o-Mani me tafawat nahi lekin,
Malla ki Azaan aur, Mujahid ki azaan aur..


Ye Faizan-e-Nazar Tha Ya Ke Maktab Ki Karamat Thi,
Sikhaye Kis Ne 'Ismaeel (A.S)'  Ko Adaab-e-Farzandi..?

Har Lehza Hai Momin Ki Nai Shan, Nai Aan
Guftar Mein, Kirdar Mein, Allah Ki Burhan.!

Qahhari-O-Guffari-O-Quddusi-O-Jabroot
Ye Char Anasir Hon To Banta Hai Musalman..

Hamsaya-E-Jibreel-E-Ameen, Banda-E-Khaaki
Hai Is Ka Nashaiman Na Bukhara Na Badakhsaan

Yeh Raaz Kisi Koi Nahi Maloom Ke Momin,
Qari Nazar Ata Hai, Haqeeqat Mein Hai Quraan..

Qudrat Ke Maqasir Ka Ayyar Is Kay Iraday
Duniya Mein Bhi Maizan, Qayamat Mein Bhi Maizan

Jis Se Jigar-E-Lala Mein Thandak Ho, Wo Shabnam
Daryaaon Ke Dil Jis Se Dehal Jayen, Wo Taufaan

♥ Suna hai log usay aankh bhar ke dekhte hain ♥

So us ke shahar main kuchh din thehr ke dekhte hain...


Suna hai rabt hai us ko kharaab halon se


So apne aap ko barbad kar ke dekhte hain...


Suna hai dard ki gahak hain chashm-e nazuk us ki


So ham bhi us ki gali se guzar ke dekhte hain...


Suna hai us ko bhi hai sher-o shayari se shagaf

So ham bhi mojazay apnay hunar ke dekhte hain...


Suna hai bole to baton se phool jharrtay hain

Ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte hain...


Suna hai raat use chand takta rehta hai

Sitaray baam-e falak se utar kar dekhtay hain...


Suna hai hashr hain us ki ghazaal si aankhain

Suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte hain...


Suna hai din ko usay titliyan satati hain

Suna hai raat ko jugno thahar ke dekhte hain...


Suna hai rat se barh kar hain kakulan us ki

Suna hai sham ko saye guzar ke dekhte hain...


Suna hai us ki siyah chashmagi qiyamat hai

So us ko surma farosh aankh bhar ke dekhte hain...


Suna hai us ke labon se gulab jalate hain

So ham bahar par ilzaam dhar ke dekhte hain...


Suna hai aaina tamasal hai jabin us ka

Jo sada dill hain ban sanvar ke dekhte hain...


Suna hai jab se hamail hain us ki gardan main

Mizaj aur hi lal-o gauhar ke dekhte hain...


Suna hai chashm-e tasavur se dasht-e imkan main

Palang zawaiya us ki kamar ke dekhte hain...


Suna hai us ke badan ke tarash aisay hain

Ke phuul apani qabayain qatar ke dekhte hain...


Woh sarvqad hai magar begul-e muraad nahin

Ke us shajar pe shagufay samar ke dekhte hain...


Bas ek nigah se lutata hai qafila dil ka

So rahravaan-e tamannaa bhi dar ke dekhte hain...


Suna hai us ke shabistan se mutasil hai behisht

Makin udhar ke bhi jalway idhar ke dekhte hain...


Rukay tu gardishain us ka tawaf karti hain

Chalay to us ko zamanay theher ke dekhte hain...


Kisay naseeb ke be parahan usay dekhay

Kabhi kabhi dar-o divaar ghar ke dekhte hain...


Kahaniyan hi sahi sab mubalaghay hi sahi

Agar woh khawb hai tabeer kar ke dekhte hain...


Ab us ke sheher main thehrain ke kooch kar jayan

Faraz aao sitaray safar ke dekhte hain....

Hogayi rukhsat ghata baarish ke baad 
Ek diya jalta raha baarish ke baad

Mere behte hue Aansuon ko dekh kar 
Ro parri thandi hawa baarish ke baad

Meri tanhaayi ka daaman thaam kar 
Kuch udaasi ne kaha baarish ke baad

Yaad teri odh kar mein so gayi 
Khawaab ka daar khul gaya baarish ke baad

Chand dekh kar baadlo ki qaid mein 
Ek sitaara ro diya baarish ke baad

Apne ghar ki har kachi deewaar par 
Naam tera likh diya baarish ke baad....!

Mohabbat Kar Sakte Ho To Khuda Se Karo 'Faraz'
Mitti Ke Khilonon Se Kabhi Wafa Nahi Milti....

Tamam Umer Usi Ke Khayal Mein Guzri 'Faraz'
Mera Khayal Jise Umer Bhar Nahi Aaya....


Badnaseebi Ka me Qayal To Nahi Tha Lekin,
Me Ne Barsaat me Jalte hue Ghar dekhe thay...!


Barish hui to phulon ke tan chak ho gaye
mausam ke hath bhig ke saffak ho gaye

baadal ko kya khabar ke barish ki chah main
kitne buland-o-bala shajar khaak ho gaye

jugnu ko din ke waqt pakarne ki zid karen
bache hamare ahad ke chalak ho gaye

lahra rahi hai barf ki chadar hata ke ghas
suraj ki shah pe tinak bhi bebak ho gaye

suraj dimag log bhi iblag-e-fikr main
zulf-e-shab-e-firaq ke pechak ho gaye

jab bhi garib-e-shahar se kuch guftagu hui
lahaje hawa-e-sham ke namnak ho gaye

sahil pe jitne aab_guzida the sab ke sab
dariya ke rukh badalte hi tairak ho gaye

Mera Sawan Bhi Tum Hoo, Meri Pyaas Bhi Tum Hoo..!
Sehra Ki Bahon Main Chupi Aas Bhi Tum Hoo..!

Tum Yun To Bohat Door Bohat Door Ho Mujh Se..!
Ehsas Ye Hota Hai Mere Paas Bhi Tum Hoo..!

Har Zakham Ki Aaghosh Main Hai Dard Tumhara ..!
Har Dard Main RAHAT Ka Ehsas Bhi Tum Hoo..!

Kho Jao To Veeran Si Ho Jati Hain Rahein ..!
Mil Jao To Phir Jeeny Ka Ehsas Bhi Tum Hoo..!

Likhta Hun To Tum Hi Utarty Ho Qalam Se..!
Parhta Hon To Lehja Bhi Tum, Awaz Bhi Tum Hoo..!

Kal raat barasti rahi saawan ki ghata bhi,
Aur ham bhi teri yaad me dil khool ke roye...!

Koi To Barsat Aisi Ho Jo Tere Sang Barsy... 
Tanha To Meri Aankhen Har Roz Barasti Hain...

Ye Barish Khoobsorat Hai,
Ik Arsy Baad,
Meri Rooh Mein
Seraab Hone Ki Tamanna Jag Uthi,
Mager Badal Ke Raste Mein
Bohat Pair Aate Hain,
Mein Pal Bhar Ke Liye Sadaab Hoon,
Aur Apni Baqi Umer,
Phir Sehraon Mein Katoon?
Mein Apni Piyaas Par Razi Rahon Gi,
Mere Aansu Meri Kafalat Ke Liye Kafi Rahein Ge…


is shahar-e-Kharaabii me.n Gam-e-ishq ke maare
zindaa hai.n yahii baat ba.Dii baat hai pyaare

ye ha.Nsataa huaa chaa.Nd ye pur_nuur sitaare
taabindaa-o-paa_indaa hai.n zarro.n ke sahaare

hasarat hai ko_ii Gunchaa hame.n pyaar se dekhe
aramaa.N hai ko_ii phuul hame.n dil se pukaare

har subah merii subah pe rotii rahii shabanam
har raat merii raat pe ha.Nsate rahe taare

kuchh aur bhii hai.n kaam hame.n ai Gam-e-jaanaa.N
kab tak ko_ii ulajhii hu_ii zulfo.n ko sa.Nvaare

ye aur baat terii galii me.n na aaye.n ham
lekin ye kyaa ki shahar teraa chho.D jaaye.n ham

muddat hu_ii hai kuu-e-butaa.N kii taraf gaye
aavaaragii se dil ko kahaa.N tak bachaaye.n ham


shaayad ba_qaid-e-ziist ye saa_at na aa sake
tum daastaan-e-shauq suno aur sunaaye.n ham

be_nuur ho chukii hai bahut shahar kii fazaa
taariik raasto.n me.n kahii.n kho na jaaye.n ham

us ke ba_Gair aaj bahut jii udaas hai
'Jalib' chalo kahii.n se use Dhuu.NDh laaye.n ham

aa bhii jaao kii zindagii kam hai 
tum nahii.n ho to har Khushii kam hai 

vaadaa kar ke ye kaun aayaa nahii.n
shahar me.n aaj raushanii kam hai 

jaane kyaa ho gayaa hai mausam ko
dhuup ziyaadaa hai chaa.Ndanii kam hai 

aa_iinaa dekh kar Khayaal aayaa 
aaj kal un kii dostii kam hai 

tere dam se hii mai.n mukammal huu.N
bin tere terii 'Yamini' kam hai 

Aastino mein naag paale hain
Loog bemaut marne waale hain
Raunke jism e sar ba sajda thi
Us haveli mein aaj jaale hain
Haddiyan choos lenge dunya ki
Woh zamane ne kutte paale hai,
zakhm bakhshe hai usko phoolo ne
Jisne pathar nichaur daale hain
Har parinde ki rooh larza hai
Aise phande soonahre daale hain
Sheesh mahloon ki aaj khair nahi
Waqt ne sang woh uchaale hain
Sach ko jhootla diya tha jisne
Aaj uski zubaan mein chaale hain
Unko koi samajh nahi sakta
Unke andaaz hi niraale hain
Jo bhi qatil hamare hain
Phool se chehre bhole bhaale hain
Haraa Hai Abhi Zakhm-E-Taalluq Dil Ka
Gire Jo Sailaab-E-Lahoo-E-Ashq Daman Pe Mera
Dekhi Ek Woh Zalak Unki Andaaz-E-Tabassum Liye
Uske Altaaf Ka Mafhoom Hum Pyar Ka Andaz Jo Samaje
Tamanna-E-Dil Woh Milae Muje Safar Mein Kahin
Chahe Milae Muje ‘Sheikh’ Woh Bewafa Bankar Hi Sahi…

Kuch is terha guzarti ab, humaari har shaam hai,
Ek haath tasveer unki to, aik haath jaam hai!
Bekar hai yad deelana, ke shaye ye haram hai,
Sab kuch bhul jate hai, jab koi leta unka nam hai!
Hum to yehi kahenge, Mai be-wajah badnaam hai,
Dard-e-dil se humko to, pahunchaati ye araam hai!
Tawah karti hai sarab, galat is par ilzam hai,
Madadgar ka badnam hona to, kudarat ka nizam hai!
Hum ghamkhaaron ka mai ko, Tah-e-dil se salaam hai,
Bina iske to khudaa jaane, kya humara anjaam hai!
Haalat E Ghamo Ka Afsana Kaha Hai
Mere Dil Ke Dard Ki Davaa Kaha Hai
Bahut Zakhm Khaaye Hai Maine Zindagi Se
Ab Kya Jeeye Masroor Mere Maut Ka Samaan Kaha Hai
Roz Woh Hi Mulaqaate Bhi Achhi Nahin Lagti
Koi Nayi Tasveer Ka Aaina Kaha Hai
Sooraj Roz Dhalta Hai Apne Waqt Par
Mere Chand Ka Ghar Kaha Hai
Nikal Padta Hoon Bheed Mein Sabhi Ke Saath
Aakhir Main Mera Raasta Kaha Hai..

Apni khushian luta kar us pe qurban ho jaon,
Kash kuch din us shehar mein mehman ho jaon,
Wo apna nayab dil mujh ko de de aur phir mange,
Main mukar jaon aur be-imaan ho jaon,
Wo mujh pe sitam kare har kisi ki tarha,
Main is ada par bhi meharban ho jaon,
Wo mere paon k neeche se zameen khainch le,
Aur phir main us ka aasman ho jaon,
Ab tou mujhe itni muhabat ho gai hai us se k,
Khuda koi mojzaa kare aur main us k naam ho jaon.

Ik Khalish Ko Haasil E Umr E-Ravaan Rahane Diyaa
Jaan Kar Ham Ne Unhen Naameharabaan Rahane Diyaa
Kitanii Diivaaron Ke Saaye Haath Phailaate Rahe
Ishq Ne Lekin Hamen Bekhvaanamaan Rahane Diyaa
Apane Apane Hausale Apanii Talab Kii Baat Hai
Chun Liyaa Hamne Unhen Saaraa Jahaan Rahane Diyaa
Ye Bhii Kyaa Jiine Mein Jiinaa Hai Bagair Un Ke “Adeeb”
Shama Gul Kar Dii Gaii Baaqii Dhuaan Rahane Diyaa

Dukh dard k maron se mera zikar na karna
Ghar jao to yaron se mera zikar na karna
Wo zabat na kar paen gi ankhon k samandar
Tum raah guzaron se mera zikar na karna
Pholon k nasheman me raha hon me sada se
Daiko kabhi kharon se mera zikar na karna
Shaid ye andhaire hi mujhe raah dikhaen
Abb chand sitaron se mera zikar na karna
Wo meri kahani ko ghalat rang na de dain
Afsana nigaron semera zikar na karna
Shaid wo mere haal pe be- sakhata roo dain
Iss bar baharon se mera zikar na karna
Le jaen ge gehrai me tum ko bhi baha kar
Darya k kinaron se mera zikar na karna
Wo shakhs mile to use har bat batana
Tum sirf isharon se mera zikar na karna
Silsila Sa Janaab ! Banta Gaya
Ik Haqeeqat Wo Khwaab Banta Gaya

Aks Paani Mein Dekhnay Ke Lye
Kaisay Chehra Gulaab Banta Gaya
Ham Ne Koi Sawaal Tak Na Kia
Wo Mukammal Jawaab Banta Gaya
Pehlay Unwaan Tha Wafa Ka Jo Shakhs
Baad Mein Wo Kitaab Banta Gaya
Neend Ka Tootna Bhee Apni Jaga
Khwaab Bhee Ek Azaab Banta Gaya
Dekhnay Mein Tha Ek Lafz Magar
Ishq Poora Nisaab Banta Gaya
Ham Haqeeqat Samajh Rahay Thay Jisay
Rafta Rafta Saraab Banta Gaya
Saaray Aalam Mein Ham Howay Tanha
Sab Ka Wo Intekhaab Banta Gaya
Pehlay Dil Torna Bura Tha Batool
Baad Mein Ye Sawaab Banta Gaya

Wednesday, September 26, 2012

Jin ko aata nahi duniya mai koi fun tum ho
Nahi jis qoam ko parwa-e-nasheman tum ho
Bijliya jis main ho aasood-o-khirman tum ho
Her koi mast-e-may-e-zoaq-e-tan asaani hai
Tum musalmaan ho?Yeh andaaz musalmani hai
Waza’a mai tum ho nasaara,tu tamaddun mai hanood
Yeh musalmaan jinhain dekh kar sharmayain yahood
Firqa bandi hai kahin aur kahin zaatain hain

Kiya zamanay mai panapnay ki yehi baatain hain?
Uss Ka Mukh Aik Joat Hai Ghoonghat Hai Sansaar
Ghoonghat Mai Woh Chup Gaya Mukh Per Aanchal Daal
Zahid Nay Mera Haasil-e-Imaan Nahin Dekha 
Rukh Per Teri Zulfon Ko Pareshaan Nahin Dekha 
Her Haal Main Bas Paish-e-Nazar Hai Wohi Soorat 
Main Nay Kabhi Roo-e-Shab-e-Hijraan Nahin Dekha 
Aaye Thay Sab Hi Tarah Kay Jalway Meray Aagay 
Main Nay Magar aye Deeda-e-Hairan Nahin

 Dekha
Kiya Kiya Hua Hungaam-e-Junoon Yeh Nahi Maloom
Kuch Hosh Jo Aaya To Girebaan Nahin Dekha.